Assalam O Alaikum!
Ye baat share karte hue dil ko buhut sukoon mil raha hai ke ab hamne “SuFi Poet” ke aik naye safar ka aaghaz kar diya hai.
Jo hamari pehli website “SuFi Poet” thi, woh sirf Saraiki zaban ke liye mukhassas thi —
ab usay humne aik naye roop mein poet.saraiki.com.pk
par rakh diya hai,
taake Saraiki adab apni asli pehchaan ke sath zinda rahe.
Ab hum aik nayi website “poet.sufilab.pk” le kar aaye hain —
jo Urdu aur Hindi poetry ke liye hai.
Is mein Pakistan aur India dono ke mashhoor shairon ke kalaam shamil honge,
aur aisi kavita aur ghazlain bhi jo dil ke jazbaat ko choo jaayengi.
Ye safar sirf hamara nahi, aap sab ka hai.
Hum chahte hain ke aap log bhi hamare sath mil kar is website ko aur behtareen banane mein hamari madad karein.
Apne mashware, apne likhe hue alfaaz, aur apne jazbaat hum tak pohanchayein —
taake hum mil kar is manzil ko aur roshan bana saken.
Insha Allah, humari koshish yahi hogi ke har nazm, har ghazal aur har lafz dil se nikle aur dil tak jaaye.
Duaon mein yaad rakhiye
Stay connected, stay inspired!
❤️ SuFi Poet — Jahan Alfaaz Rooh Ban Jaate Hain

